tu hi is shehar mein hai ek shanaasa meri
ab kahi le ke mujhe chal shab-e-tanhaa meri
le gaya saath hi apne vo mere khwaab-o-khayaal
zindagi ab bhi wahi hai tah o baala meri
us ki aankhon mein bhi pehchaan ke dore na mile
dil ki dhadkan bhi salaamat thi saraapa meri
main ki apna hi pata pooch raha hoon sab se
kho gai jaane kahaan umr-e-guzishta meri
chaandni jis ke saraapa mein simat aayi thi
aankh ab bhi hai usi husn ki juyaa meri
ab bhi ik bheed hai yusuf ke khareedaron ki
ab bhi istaada hai bazaar mein duniya meri
dosh par sar ki jagah turra-e-dastaar mile
aankh ab le le koi mujh se khuda-ya meri
तू ही इस शहर में है एक शनासा मेरी
अब कहीं ले के मुझे चल शब-ए-तन्हा मेरी
ले गया साथ ही अपने वो मेरे ख़्वाब-ओ-ख़याल
ज़िंदगी अब भी वही है तह ओ बाला मेरी
उस की आँखों में भी पहचान के डोरे न मिले
दिल की धड़कन भी सलामत थी सरापा मेरी
मैं कि अपना ही पता पूछ रहा हूँ सब से
खो गई जाने कहाँ उम्र-ए-गुज़िश्ता मेरी
चाँदनी जिस के सरापा में सिमट आई थी
आँख अब भी है उसी हुस्न की जूया मेरी
अब भी इक भीड़ है यूसुफ़ के ख़रीदारों की
अब भी इस्तादा है बाज़ार में दुनिया मेरी
दोश पर सर की जगह तुर्रा-ए-दस्तार मिले
आँख अब ले ले कोई मुझ से ख़ुदा-या मेरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutf-ur-rahman
our suggestion based on Lutf-ur-rahman
As you were reading Gaon Shayari Shayari