jaane kis saaniha-e-dard ke ghazmaaz rahe
ahad-dar-ahad bikhrti hui awaaz rahe
gum hui jaati hai tareek khalaon mein nazar
is ghadi mere sirhaane mera dam-saaz rahe
apni pehchaan hi kho baithe hain rafta rafta
apne hi aap se kitne nazar-andaaz rahe
na-rasaai ka ye dukh bhi to mukammal na hua
ham tire rabt mein aaghaaz hi aaghaaz rahe
aa ke waapas na gaya koi hawa ka jhonka
tootte lamhon mein ehsaas ke dar baaz rahe
जाने किस सानिहा-ए-दर्द के ग़म्माज़ रहे
अहद-दर-अहद बिखरती हुई आवाज़ रहे
गुम हुई जाती है तारीक ख़लाओं में नज़र
इस घड़ी मेरे सिरहाने मिरा दम-साज़ रहे
अपनी पहचान ही खो बैठे हैं रफ़्ता रफ़्ता
अपने ही आप से कितने नज़र-अंदाज़ रहे
ना-रसाई का ये दुख भी तो मुकम्मल न हुआ
हम तिरे रब्त में आग़ाज़ ही आग़ाज़ रहे
आ के वापस न गया कोई हवा का झोंका
टूटते लम्हों में एहसास के दर बाज़ रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutf-ur-rahman
our suggestion based on Lutf-ur-rahman
As you were reading Hawa Shayari Shayari