yun nikalti hai meri baat dehan se us ke | यूँ निकलती है मिरी बात दहन से उस के

  - Lutf-ur-rahman

yun nikalti hai meri baat dehan se us ke
jaise barson ka ta'aruf ho badan se us ke

yun sar-e-bazm mila toot ke ik umr pe vo
ham bhi ghabra gaye be-saakhta-pan se us ke

us ka lahja hai ki bahti hui nagmon ki nadi
jaise ilhaam ki baarish ho sukhun se us ke

us se mil ke bhi khala ab bhi wahi rooh mein hai
mutmain dil bhi nahin sarv-o-saman se us ke

khilqat-e-shehr ne afsaane taraashe kya kya
dil tahee-dast hi lautaa hai chaman se us ke

is tarah shehar saleebo se sajaaya us ne
koi mahfooz nahin daar-o-rasan se us ke

dekhna kis ke lahu se hai charaaghaan maqtal
ek ugta hua suraj hai kafan se us ke

यूँ निकलती है मिरी बात दहन से उस के
जैसे बरसों का तआरुफ़ हो बदन से उस के

यूँ सर-ए-बज़्म मिला टूट के इक उम्र पे वो
हम भी घबरा गए बे-साख़्ता-पन से उस के

उस का लहजा है कि बहती हुई नग़्मों की नदी
जैसे इल्हाम की बारिश हो सुख़न से उस के

उस से मिल के भी ख़ला अब भी वही रूह में है
मुतमइन दिल भी नहीं सर्व-ओ-समन से उस के

ख़िल्क़त-ए-शहर ने अफ़्साने तराशे क्या क्या
दिल तही-दस्त ही लौटा है चमन से उस के

इस तरह शहर सलीबों से सजाया उस ने
कोई महफ़ूज़ नहीं दार-ओ-रसन से उस के

देखना किस के लहू से है चराग़ाँ मक़्तल
एक उगता हुआ सूरज है कफ़न से उस के

  - Lutf-ur-rahman

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lutf-ur-rahman

As you were reading Shayari by Lutf-ur-rahman

Similar Writers

our suggestion based on Lutf-ur-rahman

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari