aayi to kahi koi qayamat nahin ab ke
is shehar mein ik sar bhi salaamat nahin ab ke
yun khema-e-gul khaak hua fasl-e-junoon mein
phoolon pe koi rang-e-malaahat nahin ab ke
kya jaaniye kis dasht ka paivand hua hai
ik shakhs sar-e-koo-e-malaamat nahin ab ke
ab toot ke sehra mein bikharna ki havas hai
ik gosha-e-daaman pe qana'at nahin ab ke
haan ab na rahi daar-o-rasan se koi nisbat
haan peshe-e-nazar vo qad-o-qamat nahin ab ke
vo zakham mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ik dushman-e-jaan se bhi shikaayat nahin ab ke
khud us ne kiya faisla-e-tark-e-taalluq
khud mujh se mere dil ko nadaamat nahin ab ke
आई तो कहीं कोई क़यामत नहीं अब के
इस शहर में इक सर भी सलामत नहीं अब के
यूँ ख़ेमा-ए-गुल ख़ाक हुआ फ़स्ल-ए-जुनूँ में
फूलों पे कोई रंग-ए-मलाहत नहीं अब के
क्या जानिए किस दश्त का पैवंद हुआ है
इक शख़्स सर-ए-कू-ए-मलामत नहीं अब के
अब टूट के सहरा में बिखरने की हवस है
इक गोशा-ए-दामन पे क़नाअ'त नहीं अब के
हाँ अब न रही दार-ओ-रसन से कोई निस्बत
हाँ पेश-ए-नज़र वो क़द-ओ-क़ामत नहीं अब के
वो ज़ख़्म मिले दिल को सर-ए-मंज़िल-ए-क़ुर्बत
इक दुश्मन-ए-जाँ से भी शिकायत नहीं अब के
ख़ुद उस ने किया फ़ैसला-ए-तर्क-ए-तअल्लुक़
ख़ुद मुझ से मिरे दिल को नदामत नहीं अब के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutf-ur-rahman
our suggestion based on Lutf-ur-rahman
As you were reading Phool Shayari Shayari