itna chup-chaap taalluq pe zawaal aaya tha
dil hi roya tha na chehre pe malaal aaya tha
subh-dam mujh ko na pehchaan saka aaina
main shab-e-gham ki masafat se nidhaal aaya tha
phir tapakti rahi seene pe ye shabnam kaisi
yaad aayi na kabhi tera khayal aaya tha
kahkashaan mere dareechon mein utar aayi thi
mere saaghar mein tira aks-e-jamaal aaya tha
ab na vo zauq-e-wafa hai na mizaaj-e-gham hai
hoo-b-hoo garche koi teri misaal aaya tha
इतना चुप-चाप तअल्लुक़ पे ज़वाल आया था
दिल ही रोया था न चेहरे पे मलाल आया था
सुब्ह-दम मुझ को न पहचान सका आईना
मैं शब-ए-ग़म की मसाफ़त से निढाल आया था
फिर टपकती रही सीने पे ये शबनम कैसी
याद आई न कभी तेरा ख़याल आया था
कहकशाँ मेरे दरीचों में उतर आई थी
मेरे साग़र में तिरा अक्स-ए-जमाल आया था
अब न वो ज़ौक़-ए-वफ़ा है न मिज़ाज-ए-ग़म है
हू-ब-हू गरचे कोई तेरी मिसाल आया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutf-ur-rahman
our suggestion based on Lutf-ur-rahman
As you were reading Aawargi Shayari Shayari