ham apne dukh ko gaane lag gaye hain | हम अपने दुख को गाने लग गए हैं

  - Madan Mohan Danish

ham apne dukh ko gaane lag gaye hain
magar is mein zamaane lag gaye hain

kisi ki tarbiyat ka hai karishma
ye aansu muskuraane lag gaye hain

kahaani rukh badalna chahti hai
naye kirdaar aane lag gaye hain

ye haasil hai meri khaamoshiyon ka
ki patthar aazmaane lag gaye hain

ye mumkin hai kisi din tum bhi aao
parinde aane jaane lag gaye hain

jinhen ham manzilon tak le ke aaye
wahi rasta bataane lag gaye hain

sharaafat rang dikhlaati hai daanish
kai dushman thikaane lag gaye hain

हम अपने दुख को गाने लग गए हैं
मगर इस में ज़माने लग गए हैं

किसी की तर्बियत का है करिश्मा
ये आँसू मुस्कुराने लग गए हैं

कहानी रुख़ बदलना चाहती है
नए किरदार आने लग गए हैं

ये हासिल है मिरी ख़ामोशियों का
कि पत्थर आज़माने लग गए हैं

ये मुमकिन है किसी दिन तुम भी आओ
परिंदे आने जाने लग गए हैं

जिन्हें हम मंज़िलों तक ले के आए
वही रस्ता बताने लग गए हैं

शराफ़त रंग दिखलाती है 'दानिश'
कई दुश्मन ठिकाने लग गए हैं

  - Madan Mohan Danish

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madan Mohan Danish

As you were reading Shayari by Madan Mohan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Madan Mohan Danish

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari