mera maazi hai ik hathiyaar mera
tamaacha maut ka har vaar mera
zamaane ko badlne ke liye bas
hai bas kaafi dil-e-beemaar mera
zaroorat teri hogi jis ko hogi
mujhe kaafi hai ye angaar mera
ye meri baatein hansne ko nahin hain
ki har ik lafz hai mukhtar mera
chala ke is ko mujh pe dekh le kya
bigaadegee tiri talwaar mera
मिरा माज़ी है इक हथियार मेरा
तमाचा मौत का हर वार मेरा
ज़माने को बदलने के लिए बस
है बस काफ़ी दिल-ए-बीमार मेरा
ज़रूरत तेरी होगी जिस को होगी
मुझे काफ़ी है ये अँगार मेरा
ये मेरी बातें हँसने को नहीं हैं
कि हर इक लफ़्ज़ है मुख़्तार मेरा
चला के इस को मुझ पे देख ले क्या
बिगाड़ेगी तिरी तलवार मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhuvan Rishi Raj
our suggestion based on Madhuvan Rishi Raj
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari