dil ko khud dilbar se khatra
ghar ko ab hai ghar se khatra
sar zabaan ke khatre mein tha
ab zabaan ko sar se khatra
raah mein kho jaana hai behtar
raahi ko rahbar se khatra
raat ko sona dekh-bhaal ke
chadar se bistar se khatra
yaaro dushman qaateel saare
neeche aur oopar se khatra
ghar jaayen ya baahar ghoomen
andar se baahar se khatra
raat ki raat safar hai apna
ham ko noor-e-sehar se khatra
bashar banata maut hai apni
us ko apne hunar se khatra
दिल को ख़ुद दिलबर से ख़तरा
घर को अब है घर से ख़तरा
सर ज़बान के ख़तरे में था
अब ज़बान को सर से ख़तरा
राह में खो जाना है बेहतर
राही को रहबर से ख़तरा
रात को सोना देख-भाल के
चादर से बिस्तर से ख़तरा
यारो दुश्मन क़ातिल सारे
नीचे और ऊपर से ख़तरा
घर जाएँ या बाहर घूमें
अंदर से बाहर से ख़तरा
रात की रात सफ़र है अपना
हम को नूर-ए-सहर से ख़तरा
बशर बनाता मौत है अपनी
उस को अपने हुनर से ख़तरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Madhuvan Rishi Raj
our suggestion based on Madhuvan Rishi Raj
As you were reading Hunar Shayari Shayari