baadaa-e-khum-e-khaanaa-e-tauhiid ka may-nosh hoon | बादा-ए-ख़ुम-ए-ख़ाना-ए-तौहीद का मय-नोश हूँ

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

baadaa-e-khum-e-khaanaa-e-tauhiid ka may-nosh hoon
choor hoon masti mein aisa be-khud-o-madhoosh hoon

gird firne de mujhe saaqi ye mera farz hai
misl-e-saaghar daur mein hoon badaa-e-sar-josh hoon

tarz-e-khaamoshi meri batlaati hai is raaz ko
hoon navaasanj-e-haqeeqat laakh main khaamosh hoon

dardmand-e-ishq ho kar zabt ka khugar hoon main
soorat-e-seemaab ho kar paikar-e-khaamosh hoon

kis ki furqat vasl kis ka aur hai maashooq kaun
shaad main is aalam-e-takween ka hum-aaghosh hoon

बादा-ए-ख़ुम-ए-ख़ाना-ए-तौहीद का मय-नोश हूँ
चूर हूँ मस्ती में ऐसा बे-ख़ुद-ओ-मदहोश हूँ

गिर्द फिरने दे मुझे साक़ी ये मेरा फ़र्ज़ है
मिस्ल-ए-साग़र दौर में हूँ बादा-ए-सर-जोश हूँ

तर्ज़-ए-ख़ामोशी मिरी बतलाती है इस राज़ को
हूँ नवासंज-ए-हक़ीक़त लाख मैं ख़ामोश हूँ

दर्दमंद-ए-इश्क़ हो कर ज़ब्त का ख़ूगर हूँ मैं
सूरत-ए-सीमाब हो कर पैकर-ए-ख़ामोश हूँ

किस की फ़ुर्क़त वस्ल किस का और है माशूक़ कौन
'शाद' मैं इस आलम-ए-तकवीं का हम-आग़ोश हूँ

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

As you were reading Shayari by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Writers

our suggestion based on Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari