fana kahte hain kis ko maut se pehle hi mar jaana | फ़ना कहते हैं किस को मौत से पहले ही मर जाना

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

fana kahte hain kis ko maut se pehle hi mar jaana
baqa hai naam kis ka apni hasti se guzar jaana

jo roka raah mein hur ne to shah abbaas se bole
mere bhaai na gusse mein kahi had se guzar jaana

kaha ahl-e-haram ne roke yun akbar ke laashe par
jawaan hone ka shaayad tum ne rakha naam mar jaana

baqa mein tha fana ka martaba haasil shaheedon ko
wahan is par amal tha maut se pehle hi mar jaana

na lete kaam gar sibt-e-nabi sabr-o-tahammul se
laiinon ka nigaah-e-khashm se aasaan tha mar jaana

dikhaai jang mein soorat udhar ja pahunchen vo kausar
ye asghar hi ki thi raftaar idhar aana udhar jaana

yahan ka zinda rahna maut se bad-tar samajhta hoon
hayaat-e-jaavidaan hai karbala mein ja ke mar jaana

फ़ना कहते हैं किस को मौत से पहले ही मर जाना
बक़ा है नाम किस का अपनी हस्ती से गुज़र जाना

जो रोका राह में हुर ने तो शह अब्बास से बोले
मिरे भाई न ग़ुस्से में कहीं हद से गुज़र जाना

कहा अहल-ए-हरम ने रोके यूँ अकबर के लाशे पर
जवाँ होने का शायद तुम ने रक्खा नाम मर जाना

बक़ा में था फ़ना का मर्तबा हासिल शहीदों को
वहाँ इस पर अमल था मौत से पहले ही मर जाना

न लेते काम गर सिब्त-ए-नबी सब्र-ओ-तहम्मुल से
लईनों का निगाह-ए-ख़श्म से आसाँ था मर जाना

दिखाई जंग में सूरत उधर जा पहुँचे वो कौसर
ये असग़र ही की थी रफ़्तार इधर आना उधर जाना

यहाँ का ज़िंदा रहना मौत से बद-तर समझता हूँ
हयात-ए-जाविदाँ है कर्बला में जा के मर जाना

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

As you were reading Shayari by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Writers

our suggestion based on Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari