subh ko nikla tha garche karr-o-farr se aftaab
munh firayaa ho khajil us ishwaa-gar se aftaab
aasmaan par gar gire barq-e-nigaah-e-tund-baar
abr mein rah jaaye chhup kar us ke dar se aftaab
gar naqaab apni ult de vo rukh-e-taabinda se
gir pade betaab ho kar charkh par se aftaab
dil mein jab se dekhta hai vo tiri tasveer ko
noor barsaata hai apni chashm-e-tar se aftaab
haibat-e-shaah-e-dakan se shaad ye shohra hai aaj
kaanpata nikla kare jeb-e-sehr se aftaab
सुब्ह को निकला था गरचे कर्र-ओ-फ़र्र से आफ़्ताब
मुँह फिराया हो ख़जिल उस इश्वा-गर से आफ़्ताब
आसमाँ पर गर गिरे बर्क़-ए-निगाह-ए-तुंद-बार
अब्र में रह जाए छुप कर उस के डर से आफ़्ताब
गर नक़ाब अपनी उलट दे वो रुख़-ए-ताबिंदा से
गिर पड़े बेताब हो कर चर्ख़ पर से आफ़्ताब
दिल में जब से देखता है वो तिरी तस्वीर को
नूर बरसाता है अपनी चश्म-ए-तर से आफ़्ताब
हैबत-ए-शाह-ए-दकन से 'शाद' ये शोहरा है आज
काँपता निकला करे जेब-ए-सहर से आफ़्ताब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad
our suggestion based on Maharaj Sir Kishan Parashad Shad
As you were reading Jalwa Shayari Shayari