ab dimaagh-o-dil mein vo quwwat nahin vo dil nahin | अब दिमाग़-ओ-दिल में वो क़ुव्वत नहीं वो दिल नहीं

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

ab dimaagh-o-dil mein vo quwwat nahin vo dil nahin
shaad ab ashaar mere dar-khur-e-mahfil nahin

tu mere ashk-e-nadaamat ki haqeeqat kuchh na pooch
us ka har qatra vo dariya hai jahaan saahil nahin

ghar khuda ka tha magar but is mein aa kar bas gaye
ab murqqa hai haseenon ka hamaara dil nahin

nuqta-cheen ho meri rindaana ravish par kyun koi
main koi zaahid nahin waiz nahin aaqil nahin

parda-daari karti hai dar-parda leila ishq ki
jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mehmil nahin

inqilaab-e-dehr se ulta zamaane ka varq
ahl-e-mehfil vo nahin vo raunaq-e-mehfil nahin

hind mein chalne lagi hai ab hawaa-e-inqilaab
shaad sach hai ye jagah rahne ke ab qaabil nahin

saagar-e-may pesh kar ke shaikh kahlaata hoon main
hadiyaa-e-ahkar hai ye go aap ke qaabil nahin

haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya
ishq ka da'wa huzoor-e-husn to baatil nahin

अब दिमाग़-ओ-दिल में वो क़ुव्वत नहीं वो दिल नहीं
'शाद' अब अशआ'र मेरे दर-ख़ुर-ए-महफ़िल नहीं

तू मिरे अश्क-ए-नदामत की हक़ीक़त कुछ न पूछ
उस का हर क़तरा वो दरिया है जहाँ साहिल नहीं

घर ख़ुदा का था मगर बुत इस में आ कर बस गए
अब मुरक़्क़ा' है हसीनों का हमारा दिल नहीं

नुक्ता-चीं हो मेरी रिंदाना रविश पर क्यूँ कोई
मैं कोई ज़ाहिद नहीं वाइज़ नहीं आक़िल नहीं

पर्दा-दारी करती है दर-पर्दा लैला इश्क़ की
जज़्बा-ए-दिल क़ैस का है पर्दा-ए-महमिल नहीं

इंक़लाब-ए-दहर से उल्टा ज़माने का वरक़
अहल-ए-महफ़िल वो नहीं वो रौनक़-ए-महफ़िल नहीं

हिन्द में चलने लगी है अब हवा-ए-इंक़लाब
'शाद' सच है ये जगह रहने के अब क़ाबिल नहीं

साग़र-ए-मय पेश कर के शैख़ कहलाता हूँ मैं
हदिया-ए-अहक़र है ये गो आप के क़ाबिल नहीं

हक़ में अब आशिक़ के देखें फ़ैसला होता है क्या
इश्क़ का दा'वा हुज़ूर-ए-हुस्न तो बातिल नहीं

  - Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

As you were reading Shayari by Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Writers

our suggestion based on Maharaj Sir Kishan Parashad Shad

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari