shab ki tanhaai mein un ko yaad kar leta hoon main | शब की तन्हाई में उन को याद कर लेता हूँ मैं

  - Mahboob Mashshar

shab ki tanhaai mein un ko yaad kar leta hoon main
hai zabaan khaamosh par fariyaad kar leta hoon main

chaudahveen shab ka qamar jab charkh par hansne lage
shoomi-e-qismat ko phir se yaad kar leta hoon main

kuchh hujoom-e-yaad se kuchh aarzoo-e-deed se
zindagi ko is tarah barbaad kar leta hoon main

chashm-e-nam ne soz-e-dil ko kar diya hai aashkaar
ye nahin shikwa sanam fariyaad kar leta hoon main

aaj tak barbaad tha mahshar hai ab us ko sukoon
dil ki veeraani ko khud aabaad kar leta hoon main

शब की तन्हाई में उन को याद कर लेता हूँ मैं
है ज़बाँ ख़ामोश पर फ़रियाद कर लेता हूँ मैं

चौदहवीं शब का क़मर जब चर्ख़ पर हँसने लगे
शूमी-ए-क़िस्मत को फिर से याद कर लेता हूँ मैं

कुछ हुजूम-ए-याद से कुछ आरज़ू-ए-दीद से
ज़िंदगी को इस तरह बर्बाद कर लेता हूँ मैं

चश्म-ए-नम ने सोज़-ए-दिल को कर दिया है आश्कार
ये नहीं शिकवा सनम फ़रियाद कर लेता हूँ मैं

आज तक बर्बाद था 'महशर' है अब उस को सुकूँ
दिल की वीरानी को ख़ुद आबाद कर लेता हूँ मैं

  - Mahboob Mashshar

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Mashshar

As you were reading Shayari by Mahboob Mashshar

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Mashshar

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari