insaan banta jaata hai haiwaan aaj-kal
poshida jis ke dil mein hai shaitaan aaj-kal
laata hai shauq se vo museebat khareed ke
karta hai apni maut ka samaan aaj-kal
dahshat ke saaye mein vo bujhaata hai apni pyaas
kar kar ke qatl leta hai vo jaan aaj-kal
uthati hai ab samaaj se tafreeq-e-rang-o-boo
udte hain aasmaan pe dahkaan aaj-kal
ye daur chal raha hai mobile ka is tarah
mardon se baat ho gai aasaan aaj-kal
इंसान बनता जाता है हैवान आज-कल
पोशीदा जिस के दिल में है शैतान आज-कल
लाता है शौक़ से वो मुसीबत ख़रीद के
करता है अपनी मौत का सामान आज-कल
दहशत के साए में वो बुझाता है अपनी प्यास
कर कर के क़त्ल लेता है वो जान आज-कल
उठती है अब समाज से तफ़रीक़-ए-रंग-ओ-बू
उड़ते हैं आसमान पे दहक़ान आज-कल
ये दौर चल रहा है मोबाइल का इस तरह
मर्दों से बात हो गई आसान आज-कल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mahboob Mashshar
our suggestion based on Mahboob Mashshar
As you were reading Dar Shayari Shayari