main hoon mareez-e-ishq koi chaaragar nahin | मैं हूँ मरीज़-ए-इश्क़ कोई चारागर नहीं

  - Mahboob Mashshar

main hoon mareez-e-ishq koi chaaragar nahin
main chahta hoon kya ye kisi ko khabar nahin

jis raaste pe chalta hoon vo mo'tabar nahin
jaata hoon kis taraf ko mujhe khud khabar nahin

kitne hain jo hain fikr mein uqba ke ghota-zan
fikr-e-ma'aash se to kisi ko mafar nahin

haalaat mere dekh ke kyun tum ho gham-zada
surkhi jo aankh mein hai vo khoon-e-jigar nahin

jis se bhi chaahi main ne madad gair ho gaya
is daur mein to qadr-e-mataa'-e-hunar nahin

furqat mein un ki dil to mera sokhta hi tha
aankhen bhi khushk ho gaeein ab chashm tar nahin

mere alaava gair se har dam hain ham-kalaam
kaise yaqeen kar luun ki vo saudaagar nahin

daulat thi apne paas to sab log saath the
tanhaa hai mahshar aaj koi hum-safar nahin

मैं हूँ मरीज़-ए-इश्क़ कोई चारागर नहीं
मैं चाहता हूँ क्या ये किसी को ख़बर नहीं

जिस रास्ते पे चलता हूँ वो मो'तबर नहीं
जाता हूँ किस तरफ़ को मुझे ख़ुद ख़बर नहीं

कितने हैं जो हैं फ़िक्र में उक़्बा के ग़ोता-ज़न
फ़िक्र-ए-मआ'श से तो किसी को मफ़र नहीं

हालात मेरे देख के क्यों तुम हो ग़म-ज़दा
सुर्ख़ी जो आँख में है वो ख़ून-ए-जिगर नहीं

जिस से भी चाही मैं ने मदद ग़ैर हो गया
इस दौर में तो क़द्र-ए-मताअ'-ए-हुनर नहीं

फ़ुर्क़त में उन की दिल तो मिरा सोख़्ता ही था
आँखें भी ख़ुश्क हो गईं अब चश्म तर नहीं

मेरे अलावा ग़ैर से हर दम हैं हम-कलाम
कैसे यक़ीन कर लूँ कि वो सौदागर नहीं

दौलत थी अपने पास तो सब लोग साथ थे
तन्हा है 'महशर' आज कोई हम-सफ़र नहीं

  - Mahboob Mashshar

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mahboob Mashshar

As you were reading Shayari by Mahboob Mashshar

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Mashshar

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari