khaamoshi rengti hai raahon par | ख़ामुशी रेंगती है राहों पर

  - Mahmood Ayaz

khaamoshi rengti hai raahon par
ek afsoon-b-dosh khwaab liye
raat ruk ruk ke saans leti hai
apni zulmat ka bojh uthaaye hue

muzmahil chaand ki shua'on mein
beete lamhon ki yaad raksaan hai
jaane kin maah-o-saal ka saaya
waqt ki aahaton pe larzaan hai

ek yaad ik tasavvur-e-rafta
seena-e-maah se ubharta hai
hai ye sarshaari-e-hayaat ka rang
dard kin manzilon se guzra hai

ख़ामुशी रेंगती है राहों पर
एक अफ़्सूँ-ब-दोश ख़्वाब लिए
रात रुक रुक के साँस लेती है
अपनी ज़ुल्मत का बोझ उठाए हुए

मुज़्महिल चाँद की शुआ'ओं में
बीते लम्हों की याद रक़्साँ है
जाने किन माह-ओ-साल का साया
वक़्त की आहटों पे लर्ज़ां है

एक याद इक तसव्वुर-ए-रफ़्ता
सीना-ए-माह से उभरता है
है ये सरशारी-ए-हयात का रंग
दर्द किन मंज़िलों से गुज़रा है

  - Mahmood Ayaz

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari