sar-basar ik uljhti paheli hoon
aur meri uljhan ki
suljhan bhi dushwaar hai
taga taga mujhe kaun khole
mujhe rang-dar-rang
aur harf-dar-harf parkhay
kahi aisi chashm-e-fusoon-kaar hai to batao
ai meri be-dili ke shikasta kinaaro
mere khwaab-e-hasti ke
mauhoom resham ko
kis dhoop ki
zard deemak ne chaata
kaun si khwahishon ki
hari tehniyon par
barhana hawaon ke panje pade
kis talab ki kathaa
un ke raaston mein kahi raah-e-gum-karda rahraw ki soorat
khajil aur kam-rakht rahne lagi
main udaasi ki gahri saheli hoon
teekhi paheli hoon
aur meri uljhan ki suljhan bhi dushwaar hai
main yugon se kisi dard ki khush-hunar ungliyon ki
tunuk-taab poron se
apna pata poochhti hoon
bahut kaar-e-uqda-kushaai kathin hai
magar main kisi ranj-e-barsar
khayaal-e-junoon-pesha ki
aarzoo kar rahi hoon
ye gunjal suljh jaaye
is dhun mein
dil ke nashebon ko
kya kya lahu kar rahi hoon
सर-बसर इक उलझती पहेली हूँ
और मेरी उलझन की
सुलझन भी दुश्वार है
तागा तागा मुझे कौन खोले
मुझे रंग-दर-रंग
और हर्फ़-दर-हर्फ़ परखे
कहीं ऐसी चश्म-ए-फुसूँ-कार है तो बताओ
ऐ मिरी बे-दिली के शिकस्ता किनारो
मिरे ख़्वाब-ए-हस्ती के
मौहूम रेशम को
किस धूप की
ज़र्द दीमक ने चाटा
कौन सी ख़्वाहिशों की
हरी टहनियों पर
बरहना हवाओं के पंजे पड़े
किस तलब की कथा
उन के रास्तों में कहीं राह-ए-गुम-कर्दा रहरव की सूरत
ख़जिल और कम-रख़्त रहने लगी
मैं उदासी की गहरी सहेली हूँ
तीखी पहेली हूँ
और मेरी उलझन की सुलझन भी दुश्वार है
मैं युगों से किसी दर्द की ख़ुश-हुनर उँगलियों की
तुनुक-ताब पोरों से
अपना पता पूछती हूँ
बहुत कार-ए-उक़्दा-कुशाई कठिन है
मगर मैं किसी रंज-ए-बरसर
ख़याल-ए-जुनूँ-पेशा की
आरज़ू कर रही हूँ
ये गुंजल सुलझ जाए
इस धुन में
दिल के नशेबों को
क्या क्या लहू कर रही हूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahnaz Anjum
As you were reading Bekhayali Shayari Shayari