is zindagi ko jeene ka mashwara ata kar | इस ज़िंदगी को जीने का मशवरा अता कर

  - Harsh Kumar Bhatnagar

is zindagi ko jeene ka mashwara ata kar
gar jeena chahta hai to sab se fasla kar

sab maangte hain mujhse ghazlon mein dard bhi ab
tu tod de mujhe phir se mujhko gham-zda kar

ab kaun hai tira ye maaloom kaise hoga
chal ik dafa tu marne ka jhoota faisla kar

ummeed tujhse rakh to saktaa nahin magar tu
dil todne se pehle ik baar to wafa kar

us raaste pe jaata hoon ham jahaan mile the
vo shehar bhoolne ka maula tu fan ata kar

ye log zakhm de kar khush kaise rahte hain ab
chal ik dafa tu bhi in logon mein daakhila kar

इस ज़िंदगी को जीने का मशवरा अता कर
गर जीना चाहता है तो सब से फ़ासला कर

सब माँगते हैं मुझसे ग़ज़लों में दर्द भी अब
तू तोड़ दे मुझे फिर से मुझको ग़म-ज़दा कर

अब कौन है तिरा ये मालूम कैसे होगा
चल इक दफ़ा तू मरने का झूठा फ़ैसला कर

उम्मीद तुझसे रख तो सकता नहीं मगर तू
दिल तोड़ने से पहले इक बार तो वफ़ा कर

उस रास्ते पे जाता हूँ हम जहाँ मिले थे
वो शहर भूलने का मौला तू फ़न अता कर

ये लोग ज़ख़्म दे कर ख़ुश कैसे रहते हैं अब
चल इक दफ़ा तू भी इन लोगों में दाख़िला कर

  - Harsh Kumar Bhatnagar

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Harsh Kumar Bhatnagar

As you were reading Shayari by Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Writers

our suggestion based on Harsh Kumar Bhatnagar

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari