dost bhi khoob hain manaane ko
baith ke saath muskuraane ko
humsafar door jab rahe tanhaa
hijr hota hai aazmaane ko
raaste jab hue juda ghar ke
koii deewaar hi ho dhaane ko
jab dil-o-dil rahe khafa hi tab
kyun jagah hi rahe bahaane ko
mahz fankaar jab hue rukhsat
khaamoshi tab dikhi zamaane ko
दोस्त भी ख़ूब हैं मनाने को
बैठ के साथ मुस्कुराने को
हमसफ़र दूर जब रहे तन्हा
हिज्र होता है आज़माने को
रास्ते जब हुए जुदा घर के
कोई दीवार ही हो ढाने को
जब दिल-ओ-दिल रहे ख़फ़ा ही तब
क्यों जगह ही रहे बहाने को
महज़ फ़नकार जब हुए रुख़्सत
ख़ामुशी तब दिखी ज़माने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Ghar Shayari Shayari