pal sunhare to zamaana dhoondhta hai
sirf aashiq ik bahaana dhoondhta hai
ek tu hai roz baatein aur karta
phir saleeqaa kyun puraana dhoondhta hai
ai muhabbat ai makaan bhi hai na aasaan
umr bhar kyun aashiyana dhoondhta hai
hai jo dil mein gunguna le mere hamdam
ishq ka kyun phir taraana dhoondhta hai
mai yahan hoon aur hai tu mere dil mein
kyun kisi ka phir fasaana dhoondhta hai
ishq ka aasaan safar jab ho manohar
raah mushkil kyun zamaana dhoondhta hai
पल सुनहरे तो ज़माना ढूँढता है
सिर्फ़ आशिक़ इक बहाना ढूँढता है
एक तू है रोज़ बातें और करता
फिर सलीक़ा क्यों पुराना ढूँढता है
ऐ मुहब्बत ऐ मकाँ भी है न आसाँ
उम्र भर क्यों आशियाना ढूँढता है
है जो दिल में गुनगुना ले मेरे हमदम
इश्क़ का क्यों फिर तराना ढूँढता है
मै यहाँ हूँ और है तू मेरे दिल में
क्यों किसी का फिर फ़साना ढूँढता है
इश्क़ का आसाँ सफ़र जब हो 'मनोहर'
राह मुश्किल क्यों ज़माना ढूँढता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading Travel Shayari Shayari