tujhe aasmaan mein na ham dekhte hain | तुझे आसमाँ में न हम देखते हैं

  - Manohar Shimpi

tujhe aasmaan mein na ham dekhte hain
zameen par kahi kyun sitam dekhte hain

zameen par karishme kahi dekhte hain
usi mein kabhi ham manam dekhte hain

fizaayein adaayein sabhi dekhte hain
nigah-e-karam phir sanam dekhte hain

kisi kaam se kyun kise sochte hain
galat soch se ham bharam dekhte hain

hamesha safar mein tujhe yaad karte
tujhe soch ke phir karam dekhte hain

safar mein akela humeen to chale hain
hamaare na naksh qadam dekhte hain

tarakki humeen jab kabhi dekhte hain
khushi se usi mein karam dekhte hain

तुझे आसमाँ में न हम देखते हैं
ज़मीं पर कहीं क्यों सितम देखते हैं

ज़मीं पर करिश्मे कहीं देखते हैं
उसी में कभी हम मनम देखते हैं

फ़िज़ाएँ अदाएँ सभी देखते हैं
निगाह-ए-करम फिर सनम देखते हैं

किसी काम से क्यों किसे सोचते हैं
ग़लत सोच से हम भरम देखते हैं

हमेशा सफ़र में तुझे याद करते
तुझे सोच के फिर करम देखते हैं

सफ़र में अकेले हमीं तो चले हैं
हमारे न नक़्शे क़दम देखते हैं

तरक्की हमीं जब कभी देखते हैं
ख़ुशी से उसी में करम देखते हैं

  - Manohar Shimpi

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manohar Shimpi

As you were reading Shayari by Manohar Shimpi

Similar Writers

our suggestion based on Manohar Shimpi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari