rahein pardo mein vo akshar sharaarat ho to kaise ho
milaate vo nahin nazarein muhabbat ho to kaise ho
adavat ho bhala kaise ki nafrat ho to kaise ho
chale jab baat apnon kii bagaavat ho to kaise ho
chhupe gaddaar baithe hain bane dushman tarqqi ke
bhala is desh mein ab aur barkat ho to kaise ho
gunaahon kii saza sabko milegi us adaalat mein
bahao tum bhale aansu zamaanat ho to kaise ho
haseen din hain guzaare hamne bachpan ke yahan hazrat
bhala is gaav se meri to hijrat ho to kaise ho
na milte hain nivaale khaane ko do june bhi jinko
unhen makhmal ke bistar kii bhi hasrat ho to kaise ho
bada zalim zamaana hai azal se inka hai dushman
bhala mazloom kii meena himayat ho to kaise ho
रहें पर्दों में वो अक्सर शरारत हो तो कैसे हो
मिलाते वो नहीं नज़रें मुहब्बत हो तो कैसे हो
अदावत हो भला कैसे कि नफ़रत हो तो कैसे हो
चले जब बात अपनों की बग़ावत हो तो कैसे हो
छिपे ग़द्दार बैठे हैं बने दुश्मन तरक़्क़ी के
भला इस देश में अब और बरकत हो तो कैसे हो
गुनाहों की सज़ा सबको मिलेगी उस अदालत में
बहाओ तुम भले आँसू ज़मानत हो तो कैसे हो
हसीं दिन हैं गुज़ारे हमने बचपन के यहाँ हज़रत
भला इस गाँव से मेरी तो हिजरत हो तो कैसे हो
न मिलते हैं निवाले खाने को दो जून भी जिनको
उन्हें मख़मल के बिस्तर की भी हसरत हो तो कैसे हो
बड़ा ज़ालिम ज़माना है अज़ल से इनका है दुश्मन
भला मज़लूम की 'मीना' हिमायत हो तो कैसे हो
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari