khanjar-b-kaf vo jab se saffaaq ho gaya hai
mulk in sitam-zadon ka sab paak ho gaya hai
jis se use lagaaun rookha hi ho mile hai
seene mein jal kar az-bas dil khaak ho gaya hai
kya jaanon lazzat-e-dard us ki zaraahaton ki
ye jaanon hoon ki seena sab chaak ho gaya hai
sohbat se is jahaan ki koi khalaas hoga
is faahisha pe sab ko imsaak ho gaya hai
deewaar kohna hai ye mat baith us ke saaye
uth chal ki aasmaan to ka vaak ho gaya hai
sharm-o-haya kahaan ki har baat par hai shamsheer
ab to bahut vo ham se bebaak ho gaya hai
har harf bas-ki roya hai haal par hamaare
qaasid ke haath mein khat namnaak ho gaya hai
zer-e-falak bhala to rove hai aap ko meer
kis kis tarah ka aalam yaa khaak ho gaya hai
ख़ंजर-ब-कफ़ वो जब से सफ़्फ़ाक हो गया है
मुल्क इन सितम-ज़दों का सब पाक हो गया है
जिस से उसे लगाऊँ रूखा ही हो मिले है
सीने में जल कर अज़-बस दिल ख़ाक हो गया है
क्या जानों लज़्ज़त-ए-दर्द उस की जराहतों की
ये जानों हूँ कि सीना सब चाक हो गया है
सोहबत से इस जहाँ की कोई ख़लास होगा
इस फ़ाहिशा पे सब को इमसाक हो गया है
दीवार कोहना है ये मत बैठ उस के साए
उठ चल कि आसमाँ तो का वाक हो गया है
शर्म-ओ-हया कहाँ की हर बात पर है शमशीर
अब तो बहुत वो हम से बेबाक हो गया है
हर हर्फ़ बस-कि रोया है हाल पर हमारे
क़ासिद के हाथ में ख़त नमनाक हो गया है
ज़ेर-ए-फ़लक भला तो रोवे है आप को 'मीर'
किस किस तरह का आलम याँ ख़ाक हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Deshbhakti Shayari Shayari