hai bazm-e-butaan mein sukhun aazurda-labon se | है बज़्म-ए-बुताँ में सुख़न आज़ुर्दा-लबों से

  - Mirza Ghalib

hai bazm-e-butaan mein sukhun aazurda-labon se
tang aaye hain ham aise khushamad-talabon se

hai daur-e-qadah wajh-e-preshaani-e-sehba
yak-baar laga do khum-e-may mere labon se

rindaana-e-dar-e-may-kada gustaakh hain zaahid
zinhaar na hona taraf in be-adbon se

bedaad-e-wafa dekh ki jaati rahi aakhir
har-chand meri jaan ko tha rabt labon se

kya pooche hai bar-khud ghalati-ha-e-azizaan
khaari ko bhi ik aar hai aaali-nasbon se

go tum ko raza-jooi-e-agyaar hai lekin
jaati hai mulaqaat kab aise sababon se

mat pooch asad wa'da-e-kam-fursati-e-zeest
do din bhi jo kaate tu qayamat taabon se

है बज़्म-ए-बुताँ में सुख़न आज़ुर्दा-लबों से
तंग आए हैं हम ऐसे ख़ुशामद-तलबों से

है दौर-ए-क़दह वज्ह-ए-परेशानी-ए-सहबा
यक-बार लगा दो ख़ुम-ए-मय मेरे लबों से

रिंदाना-ए-दर-ए-मय-कदा गुस्ताख़ हैं ज़ाहिद
ज़िन्हार न होना तरफ़ इन बे-अदबों से

बेदाद-ए-वफ़ा देख कि जाती रही आख़िर
हर-चंद मिरी जान को था रब्त लबों से

क्या पूछे है बर-ख़ुद ग़लती-हा-ए-अज़ीज़ाँ
ख़्वारी को भी इक आर है अआली-नसबों से

गो तुम को रज़ा-जूई-ए-अग़्यार है लेकिन
जाती है मुलाक़ात कब ऐसे सबबों से

मत पूछ 'असद' वअ'दा-ए-कम-फ़ुर्सती-ए-ज़ीस्त
दो दिन भी जो काटे तू क़यामत तअबों से

  - Mirza Ghalib

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari