dekh kar dar-parda garm-e-daaman-afshaani mujhe | देख कर दर-पर्दा गर्म-ए-दामन-अफ़्शानी मुझे - Mirza Ghalib

dekh kar dar-parda garm-e-daaman-afshaani mujhe
kar gai waabasta-e-tan meri uryaani mujhe

ban gaya tegh-e-nigaah-e-yaar ka sang-e-fasaan
marhaba main kya mubarak hai giraa-jaani mujhe

kyun na ho be-iltifaati us ki khaatir jam'a hai
jaanta hai mahw-e-pursish-ha-e-pinhaani mujhe

mere gham-khaane ki qismat jab raqam hone lagi
likh diya min-jumla-e-asbaab-e-veeraani mujhe

bad-gumaan hota hai vo kaafir na hota kaash ke
is qadar zauq-e-nava-e-murgh-e-bustaani mujhe

waaye waan bhi shor-e-mahshar ne na dam lene diya
le gaya tha gor mein zauq-e-tan-aasaani mujhe

wa'da aane ka wafa kijeye ye kya andaaz hai
tum ne kyun saumpi hai mere ghar ki darbaani mujhe

haan nashaat-e-aamad-e-fasl-e-bahaari waah waah
phir hua hai taaza sauda-e-ghazal-khwaani mujhe

di mere bhaai ko haq ne az-sar-e-nau zindagi
meerzaa yusuf hai ghalib yusuf-e-saani mujhe

देख कर दर-पर्दा गर्म-ए-दामन-अफ़्शानी मुझे
कर गई वाबस्ता-ए-तन मेरी उर्यानी मुझे

बन गया तेग़-ए-निगाह-ए-यार का संग-ए-फ़साँ
मर्हबा मैं क्या मुबारक है गिराँ-जानी मुझे

क्यूँ न हो बे-इल्तिफ़ाती उस की ख़ातिर जम्अ' है
जानता है महव-ए-पुर्सिश-हा-ए-पिन्हानी मुझे

मेरे ग़म-ख़ाने की क़िस्मत जब रक़म होने लगी
लिख दिया मिन-जुमला-ए-असबाब-ए-वीरानी मुझे

बद-गुमाँ होता है वो काफ़िर न होता काश के
इस क़दर ज़ौक़-ए-नवा-ए-मुर्ग़-ए-बुस्तानी मुझे

वाए वाँ भी शोर-ए-महशर ने न दम लेने दिया
ले गया था गोर में ज़ौक़-ए-तन-आसानी मुझे

वा'दा आने का वफ़ा कीजे ये क्या अंदाज़ है
तुम ने क्यूँ सौंपी है मेरे घर की दरबानी मुझे

हाँ नशात-ए-आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहारी वाह वाह
फिर हुआ है ताज़ा सौदा-ए-ग़ज़ल-ख़्वानी मुझे

दी मिरे भाई को हक़ ने अज़-सर-ए-नौ ज़िंदगी
मीरज़ा यूसुफ़ है 'ग़ालिब' यूसुफ़-ए-सानी मुझे

- Mirza Ghalib
0 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari