ki wafa ham se to gair is ko jafaa kahte hain | की वफ़ा हम से तो ग़ैर इस को जफ़ा कहते हैं

  - Mirza Ghalib

ki wafa ham se to gair is ko jafaa kahte hain
hoti aayi hai ki achhon ko bura kahte hain

aaj ham apni pareshaani-e-khaatir un se
kehne jaate to hain par dekhiye kya kahte hain

agle waqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho
jo may o naghma ko andoh-ruba kahte hain

dil mein aa jaaye hai hoti hai jo furqat ghash se
aur phir kaun se naale ko rasaa kahte hain

hai par-e-sarhad-e-idraak se apna masjood
qible ko ahl-e-nazar qibla-numaa kahte hain

paa-e-afgaar pe jab se tujhe rehm aaya hai
khaar-e-rah ko tire ham mehr-e-giya kahte hain

ik sharar dil mein hai us se koi ghabraayega kya
aag matlab hai ham ko jo hawa kahte hain

dekhiye laati hai us shokh ki nakhwat kya rang
us ki har baat pe ham naam-e-khuda kahte hain

vehshat o shefta ab rakh kahein shaayad
mar gaya ghalib'-e-aashufta-navaa kahte hain

की वफ़ा हम से तो ग़ैर इस को जफ़ा कहते हैं
होती आई है कि अच्छों को बुरा कहते हैं

आज हम अपनी परेशानी-ए-ख़ातिर उन से
कहने जाते तो हैं पर देखिए क्या कहते हैं

अगले वक़्तों के हैं ये लोग इन्हें कुछ न कहो
जो मय ओ नग़्मा को अंदोह-रुबा कहते हैं

दिल में आ जाए है होती है जो फ़ुर्सत ग़श से
और फिर कौन से नाले को रसा कहते हैं

है पर-ए-सरहद-ए-इदराक से अपना मसजूद
क़िबले को अहल-ए-नज़र क़िबला-नुमा कहते हैं

पा-ए-अफ़गार पे जब से तुझे रहम आया है
ख़ार-ए-रह को तिरे हम मेहर-ए-गिया कहते हैं

इक शरर दिल में है उस से कोई घबराएगा क्या
आग मतलूब है हम को जो हवा कहते हैं

देखिए लाती है उस शोख़ की नख़वत क्या रंग
उस की हर बात पे हम नाम-ए-ख़ुदा कहते हैं

'वहशत' ओ 'शेफ़्ता' अब मर्सिया कहवें शायद
मर गया 'ग़ालिब'-ए-आशुफ़्ता-नवा कहते हैं

  - Mirza Ghalib

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari