na hui gar mere marne se tasalli na sahi | न हुई गर मिरे मरने से तसल्ली न सही

  - Mirza Ghalib

na hui gar mere marne se tasalli na sahi
imtihaan aur bhi baaki ho to ye bhi na sahi

khaar khaar-e-alam-e-hasrat-e-deedaar to hai
shauq gul-cheen-e-gulistaan-e-tasalli na sahi

may-parastaan khum-e-may munh se lagaaye hi bane
ek din gar na hua bazm mein saaqi na sahi

nafs-e-qais ki hai chashm-o-charaagh-e-sehra
gar nahin sham-e-siyah-khaana-e-laili na sahi

ek hangaame pe mauqoof hai ghar ki raunaq
nauha-e-gham hi sahi naghma-e-shaadi na sahi

na sataish ki tamannaa na sile ki parwa
gar nahin hain mere ashaar mein maani na sahi

ishrat-e-sohbat-e-khooban hi ghaneemat samjho
na hui ghalib agar umr-e-tabeei na sahi

न हुई गर मिरे मरने से तसल्ली न सही
इम्तिहाँ और भी बाक़ी हो तो ये भी न सही

ख़ार ख़ार-ए-अलम-ए-हसरत-ए-दीदार तो है
शौक़ गुल-चीन-ए-गुलिस्तान-ए-तसल्ली न सही

मय-परस्ताँ ख़ुम-ए-मय मुँह से लगाए ही बने
एक दिन गर न हुआ बज़्म में साक़ी न सही

नफ़स-ए-क़ैस कि है चश्म-ओ-चराग़-ए-सहरा
गर नहीं शम-ए-सियह-ख़ाना-ए-लैली न सही

एक हंगामे पे मौक़ूफ़ है घर की रौनक़
नौहा-ए-ग़म ही सही नग़्मा-ए-शादी न सही

न सताइश की तमन्ना न सिले की पर्वा
गर नहीं हैं मिरे अशआ'र में मा'नी न सही

इशरत-ए-सोहबत-ए-ख़ूबाँ ही ग़नीमत समझो
न हुई 'ग़ालिब' अगर उम्र-ए-तबीई न सही

  - Mirza Ghalib

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari