nuqta-cheen hai gham-e-dil us ko sunaaye na bane | नुक्ता-चीं है ग़म-ए-दिल उस को सुनाए न बने

  - Mirza Ghalib

nuqta-cheen hai gham-e-dil us ko sunaaye na bane
kya bane baat jahaan baat banaaye na bane

main bulaata to hoon us ko magar ai jazba-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aisi ki bin aaye na bane

khel samjha hai kahi chhod na de bhool na jaaye
kaash yun bhi ho ki bin mere sataaye na bane

gair firta hai liye yun tire khat ko ki agar
koi pooche ki ye kya hai to chhupaaye na bane

is nazaakat ka bura ho vo bhale hain to kya
haath aaveñ to unhen haath lagaaye na bane

kah sake kaun ki ye jalwagari kis ki hai
parda chhodaa hai vo us ne ki uthaaye na bane

maut ki raah na dekhoon ki bin aaye na rahe
tum ko chaahoon ki na aao to bulaaye na bane

bojh vo sar se gira hai ki uthaaye na uthe
kaam vo aan pada hai ki banaaye na bane

ishq par zor nahin hai ye vo aatish ghalib
ki lagaaye na lage aur bujaaye na bane

नुक्ता-चीं है ग़म-ए-दिल उस को सुनाए न बने
क्या बने बात जहाँ बात बनाए न बने

मैं बुलाता तो हूँ उस को मगर ऐ जज़्बा-ए-दिल
उस पे बन जाए कुछ ऐसी कि बिन आए न बने

खेल समझा है कहीं छोड़ न दे भूल न जाए
काश यूँ भी हो कि बिन मेरे सताए न बने

ग़ैर फिरता है लिए यूँ तिरे ख़त को कि अगर
कोई पूछे कि ये क्या है तो छुपाए न बने

इस नज़ाकत का बुरा हो वो भले हैं तो क्या
हाथ आवें तो उन्हें हाथ लगाए न बने

कह सके कौन कि ये जल्वागरी किस की है
पर्दा छोड़ा है वो उस ने कि उठाए न बने

मौत की राह न देखूँ कि बिन आए न रहे
तुम को चाहूँ कि न आओ तो बुलाए न बने

बोझ वो सर से गिरा है कि उठाए न उठे
काम वो आन पड़ा है कि बनाए न बने

इश्क़ पर ज़ोर नहीं है ये वो आतिश 'ग़ालिब'
कि लगाए न लगे और बुझाए न बने

  - Mirza Ghalib

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari