ajab nashaat se jallaad ke chale hain ham aage | अजब नशात से जल्लाद के चले हैं हम आगे

  - Mirza Ghalib

ajab nashaat se jallaad ke chale hain ham aage
ki apne saaye se sar paanv se hai do qadam aage

qaza ne tha mujhe chaaha kharaab-e-baadaa-e-ulft
faqat kharab likha bas na chal saka qalam aage

gham-e-zamaana ne jhaadi nashaat-e-ishq ki masti
wagarana ham bhi uthaate the azzat-e-alam aage

khuda ke vaaste daad us junoon-e-shauq ki dena
ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se ham aage

ye umr bhar jo pareshaaniyaan uthaai hain ham ne
tumhaare aiiyo ai turrah-ha-e-kham-b-kham aage

dil o jigar mein pur-afsha jo ek mauja-e-khoon hai
ham apne zoom mein samjhe hue the us ko dam aage

qasam janaaze pe aane ki mere khaate hain ghalib
hamesha khaate the jo meri jaan ki qasam aage

अजब नशात से जल्लाद के चले हैं हम आगे
कि अपने साए से सर पाँव से है दो क़दम आगे

क़ज़ा ने था मुझे चाहा ख़राब-ए-बादा-ए-उल्फ़त
फ़क़त ख़राब लिखा बस न चल सका क़लम आगे

ग़म-ए-ज़माना ने झाड़ी नशात-ए-इश्क़ की मस्ती
वगरना हम भी उठाते थे अज़्ज़त-ए-अलम आगे

ख़ुदा के वास्ते दाद उस जुनून-ए-शौक़ की देना
कि उस के दर पे पहुँचते हैं नामा-बर से हम आगे

ये उम्र भर जो परेशानियाँ उठाई हैं हम ने
तुम्हारे अइयो ऐ तुर्रह-हा-ए-ख़म-ब-ख़म आगे

दिल ओ जिगर में पुर-अफ़्शा जो एक मौजा-ए-ख़ूँ है
हम अपने ज़ोम में समझे हुए थे उस को दम आगे

क़सम जनाज़े पे आने की मेरे खाते हैं 'ग़ालिब'
हमेशा खाते थे जो मेरी जान की क़सम आगे

  - Mirza Ghalib

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari