jis bazm mein tu naaz se guftaar mein aave
jaan kaalbad-e-soorat-e-deewaar mein aave
saaye ki tarah saath phiren sarv o sanobar
tu is qadd-e-dilkash se jo gulzaar mein aave
tab naaz-e-giraan maigi-e-ashk baja hai
jab lakht-e-jigar deedaa-e-khoon-baar mein aave
de mujh ko shikaayat ki ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko maza bhi mere aazaar mein aave
us chashm-e-fusoon-gar ka agar paaye ishaara
tooti ki tarah aaina guftaar mein aave
kaanton ki zabaan sookh gai pyaas se ya rab
ik aabla-pa waadi-e-pur-khaar mein aave
mar jaaun na kyun rashk se jab vo tan-e-naazuk
aaghosh-e-kham-e-halka-e-zunnaar mein aave
ghaarat-gar-e-naamoos na ho gar havas-e-zar
kyun shaahid-e-gul baagh se bazaar mein aave
tab chaak-e-garebaan ka maza hai dil-e-naalaan
jab ik nafs uljha hua har taar mein aave
aatish-kada hai seena mera raaz-e-nihaan se
ai waaye agar ma'ariz-e-izhaar mein aave
ganjeena-e-ma'ni ka tilism us ko samjhiye
jo lafz ki ghalib mere ashaar mein aave
जिस बज़्म में तू नाज़ से गुफ़्तार में आवे
जाँ कालबद-ए-सूरत-ए-दीवार में आवे
साए की तरह साथ फिरें सर्व ओ सनोबर
तू इस क़द-ए-दिलकश से जो गुलज़ार में आवे
तब नाज़-ए-गिराँ माइगी-ए-अश्क बजा है
जब लख़्त-ए-जिगर दीदा-ए-ख़ूँ-बार में आवे
दे मुझ को शिकायत की इजाज़त कि सितमगर
कुछ तुझ को मज़ा भी मिरे आज़ार में आवे
उस चश्म-ए-फ़ुसूँ-गर का अगर पाए इशारा
तूती की तरह आइना गुफ़्तार में आवे
काँटों की ज़बाँ सूख गई प्यास से या रब
इक आबला-पा वादी-ए-पुर-ख़ार में आवे
मर जाऊँ न क्यूँ रश्क से जब वो तन-ए-नाज़ुक
आग़ोश-ए-ख़म-ए-हल्क़ा-ए-ज़ुन्नार में आवे
ग़ारत-गर-ए-नामूस न हो गर हवस-ए-ज़र
क्यूँ शाहिद-ए-गुल बाग़ से बाज़ार में आवे
तब चाक-ए-गरेबाँ का मज़ा है दिल-ए-नालाँ
जब इक नफ़स उलझा हुआ हर तार में आवे
आतिश-कदा है सीना मिरा राज़-ए-निहाँ से
ऐ वाए अगर मा'रिज़-ए-इज़हार में आवे
गंजीना-ए-मअ'नी का तिलिस्म उस को समझिए
जो लफ़्ज़ कि 'ग़ालिब' मिरे अशआ'र में आवे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Mehboob Shayari Shayari