aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye | आईना देख अपना सा मुँह ले के रह गए - Mirza Ghalib

aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye
sahab ko dil na dene pe kitna ghuroor tha

qaasid ko apne haath se gardan na maariye
us ki khata nahin hai ye mera qusoor tha

zof-e-junoon ko waqt-e-tapish dar bhi door tha
ik ghar mein mukhtasar biyaabaan zaroor tha

ai waae-ghaflat-e-nigah-e-shauq warna yaa
har paara sang lakhth-e-dil-e-koh-e-toor tha

dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam se
vo dil hai ye ki jis ka takhallus suboor tha

har rang mein jala asad'-e-fitna-intizaar
parwaana-e-tajalli-e-sham-e-zuhuur tha

shaayad ki mar gaya tire rukhsaar dekh kar
paimaana raat maah ka labreiz-e-noor tha

jannat hai teri teg ke kushto'n ki muntazir
jauhar savaad-e-jalwa-e-mizgaan-e-hoor tha

आईना देख अपना सा मुँह ले के रह गए
साहब को दिल न देने पे कितना ग़ुरूर था

क़ासिद को अपने हाथ से गर्दन न मारिए
उस की ख़ता नहीं है ये मेरा क़ुसूर था

ज़ोफ़-ए-जुनूँ को वक़्त-ए-तपिश दर भी दूर था
इक घर में मुख़्तसर बयाबाँ ज़रूर था

ऐ वाए-ग़फ़लत-ए-निगह-ए-शौक़ वर्ना याँ
हर पारा संग लख़्त-ए-दिल-ए-कोह-ए-तूर था

दर्स-ए-तपिश है बर्क़ को अब जिस के नाम से
वो दिल है ये कि जिस का तख़ल्लुस सुबूर था

हर रंग में जला 'असद'-ए-फ़ित्ना-इन्तिज़ार
परवाना-ए-तजल्ली-ए-शम-ए-ज़ुहूर था

शायद कि मर गया तिरे रुख़्सार देख कर
पैमाना रात माह का लबरेज़-ए-नूर था

जन्नत है तेरी तेग़ के कुश्तों की मुंतज़िर
जौहर सवाद-ए-जल्वा-ए-मिज़्गान-ए-हूर था

- Mirza Ghalib
0 Likes

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari