ghup andhera tha jaa-b-jaa mujh mein
raat rahti thi ba-khuda mujh mein
main to sar ko jhukaaye baitha tha
ishq ne sar utha liya mujh mein
gham yahan se nikal nahin paaya
chaar jaanib tha haashiya mujh mein
mera hi roop dhaar kar koi
der tak cheekhta raha mujh mein
jaane kis kis ne raat kaatee yahan
jaane kis kis ko tu mila mujh mein
chat giraai to raasta nikla
phir tamasha sa lag gaya mujh mein
meri tah tak pahunch nahin paaya
ek patthar jo gir pada mujh mein
teri awaaz goonjti thi kabhi
ab to rehta hai bas khala mujh mein
saare manzar chhupa diye us ne
vo jo tera ghubaar tha mujh mein
fal hi fal the yahan wahan mohsin
ik shajar tha jhuka hua mujh mein
घुप अंधेरा था जा-ब-जा मुझ में
रात रहती थी बा-ख़ुदा मुझ में
मैं तो सर को झुकाए बैठा था
इश्क़ ने सर उठा लिया मुझ में
ग़म यहाँ से निकल नहीं पाया
चार जानिब था हाशिया मुझ में
मेरा ही रूप धार कर कोई
देर तक चीख़ता रहा मुझ में
जाने किस किस ने रात काटी यहाँ
जाने किस किस को तू मिला मुझ में
छत गिराई तो रास्ता निकला
फिर तमाशा सा लग गया मुझ में
मेरी तह तक पहुँच नहीं पाया
एक पत्थर जो गिर पड़ा मुझ में
तेरी आवाज़ गूँजती थी कभी
अब तो रहता है बस ख़ला मुझ में
सारे मंज़र छुपा दिए उस ने
वो जो तेरा ग़ुबार था मुझ में
फल ही फल थे यहाँ वहाँ 'मोहसिन'
इक शजर था झुका हुआ मुझ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by mohsin bhai sk
our suggestion based on mohsin bhai sk
As you were reading Udas Shayari Shayari