kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha | कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ़ नहीं देखा

  - Munawwar Rana

kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha
tumhaare ba'ad kisi ki taraf nahin dekha

ye soch kar ki tira intizaar laazim hai
tamaam-umr ghadi ki taraf nahin dekha

yahan to jo bhi hai aab-e-ravaan ka aashiq hai
kisi ne khushk nadi ki taraf nahin dekha

vo jis ke vaaste pardes ja raha hoon main
bichhadte waqt usi ki taraf nahin dekha

na rok le hamein rota hua koi chehra
chale to mud ke gali ki taraf nahin dekha

bichhadte waqt bahut mutmain the ham dono
kisi ne mud ke kisi ki taraf nahin dekha

ravish buzurgon ki shaamil hai meri ghutti mein
zarooratan bhi sakhi ki taraf nahin dekha

कभी ख़ुशी से ख़ुशी की तरफ़ नहीं देखा
तुम्हारे बा'द किसी की तरफ़ नहीं देखा

ये सोच कर कि तिरा इंतिज़ार लाज़िम है
तमाम-उम्र घड़ी की तरफ़ नहीं देखा

यहाँ तो जो भी है आब-ए-रवाँ का आशिक़ है
किसी ने ख़ुश्क नदी की तरफ़ नहीं देखा

वो जिस के वास्ते परदेस जा रहा हूँ मैं
बिछड़ते वक़्त उसी की तरफ़ नहीं देखा

न रोक ले हमें रोता हुआ कोई चेहरा
चले तो मुड़ के गली की तरफ़ नहीं देखा

बिछड़ते वक़्त बहुत मुतमइन थे हम दोनों
किसी ने मुड़ के किसी की तरफ़ नहीं देखा

रविश बुज़ुर्गों की शामिल है मेरी घुट्टी में
ज़रूरतन भी सखी की तरफ़ नहीं देखा

  - Munawwar Rana

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari