isee uljhan mein umr saari basar ki
ye chaaya suraj ki hai ya shajar ki
ek din main apne ghar mehmaan hua
taak par rakh di aawaargi zindagi bhar ki
maine haadson se apni jholi bhar li
jaise kamaai ho kisi lambe safar ki
koi itna mutmain kaise ho saka hai
jaam bhi na liya zindagi bhi basar ki
din to qayamat tha guzaara nahin gaya
raat to zindagi thi so basar ki
haan fasaana to main bhool gaya lekin
kuchh galiyaan yaad hai tere shehar ki
इसी उलझन में उम्र सारी बसर की
ये छाया सूरज की है या शजर की
एक दिन मैं अपने घर महमान हुआ
ताक पर रख दी आवारगी ज़िन्दगी भर की
मैंने हादसों से अपनी झोली भर ली
जैसे कमाई हो किसी लंबे सफर की
कोई इतना मुतमईन कैसे हो सकता है
जाम भी ना लिया ज़िन्दगी भी बसर की
दिन तो कयामत था गुज़ारा नहीं गया
रात तो ज़िन्दगी थी सो बसर की
हां फसाना तो मैं भूल गया लेकिन
कुछ गलियां याद है तेरे शहर की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Murli Dhakad
our suggestion based on Murli Dhakad
As you were reading Travel Shayari Shayari