dil dukhaane ko aaye ho tum
phir rulaane ko aaye ho tum
kya naye kism ka kuchh sitam
aazmaane ko aaye ho tum
chitthiyaan laaye ho ya parand
aabodaane ko aaye ho tum
paas aaoge ya dooriyaan
aur badhaane ko aaye ho tum
jalne do mere dil ka charaagh
kyun bujhaane ko aaye ho tum
dil mein hai ek ajab si lehar
ki bulane ko aaye ho tum
ham jaise faqeeron ke paas
kya churaane ko aaye ho tum
ye na kehna ki is baar to
kuchh ganwaane ko aaye ho tum
maan loon main ki majboor ho tum
kya hansaane ko aaye ho tum
ret par jo likha hi nahin
vo mitaane ko aaye ho tum
tumko hai kuchh khabar kuchh hisaab
ek jamaane ko aaye ho tum
mujhko shak hai bahaaron ka geet
gungunaane ko aaye ho tum
mahke mahke ishaaron se kya
ghar girane ko aaye ho tum
ab samandar mein ghar hai mera
kya doobaane ko aaye ho tum
दिल दुखाने को आए हो तुम
फिर रुलाने को आए हो तुम
क्या नए किस्म का कुछ सितम
आजमाने को आए हो तुम
चिट्ठियां लाए हो या परन्द
आबोदाने को आए हो तुम
पास आओगे या दूरियां
और बढ़ाने को आए हो तुम
जलने दो मेरे दिल का चराग़
क्यों बुझाने को आए हो तुम
दिल में है एक अजब सी लहर
कि बुलाने को आए हो तुम
हम जैसे फ़क़ीरों के पास
क्या चुराने को आए हो तुम
ये न कहना कि इस बार तो
कुछ गंवाने को आए हो तुम
मान लूं मैं कि मजबूर हो तुम
क्या हंसाने को आए हो तुम
रेत पर जो लिखा ही नहीं
वो मिटाने को आए हो तुम
तुमको है कुछ खबर कुछ हिसाब
एक जमाने को आए हो तुम
मुझको शक है बहारों का गीत
गुनगुनाने को आए हो तुम
महके महके इशारों से क्या
घर गिराने को आए हो तुम
अब समंदर में घर है मेरा
क्या डूबाने को आए हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Murli Dhakad
our suggestion based on Murli Dhakad
As you were reading Bebas Shayari Shayari