banne bigarne ke raaste saare bawaal chhod chuke
ham apni zindagi ko zindagi ke haal chhod chuke
roshni ke naam se ki na jugnuon se dosti
saath jo saaya laaye the vo bhi nidhaal chhod chuke
shaam-e-saba ki zulf mein karke gamon ka muaayna
saari dhamaal chhod chuke saare kamaal chhod chuke
saaqi ki ek nazar pe hi saari kitaaben gir gai
saare jawaab pa liye saare sawaal chhod chuke
faasla to faqat tha ek hi raat ka
saari ummeedein bhar gai saare malaal chhod chuke
बनने बिगड़ने के रास्ते, सारे बवाल छोड़ चुके
हम अपनी ज़िन्दगी को, ज़िन्दगी के हाल छोड़ चुके
रोशनी के नाम से, की न जुगनुओं से दोस्ती
साथ जो साया लाए थे, वो भी निढाल छोड़ चुके
शाम-ए-सबा की ज़ुल्फ़ में करके ग़मों का मुआयना
सारी धमाल छोड़ चुके, सारे कमाल छोड़ चुके
साक़ी की एक नजर पे ही सारी किताबें गिर गई
सारे जवाब पा लिए, सारे सवाल छोड़ चुके
फासला तो फ़क़त, था एक ही रात का
सारी उम्मीदें भर गई, सारे मलाल छोड़ चुके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Murli Dhakad
our suggestion based on Murli Dhakad
As you were reading Ujaala Shayari Shayari