rukna padega aur bhi chalne ke naam par | रुकना पड़ेगा और भी चलने के नाम पर

  - Nadeem ahmad

rukna padega aur bhi chalne ke naam par
girti rahegi khalk sambhalne ke naam par

fansata gaya hoon aur nikalne ki sai mein
aafat mazid aayi hai talne ke naam par

ye kya tilism hai ki ubharne ke shauq mein
awaaz dab gai hai nikalne ke naam par

dil ka shajar to aur bhi palne ki aad mein
murjha gaya hai phoolne-falne ke naam par

vo ja chuka hai aur badan ke nawaah mein
ab jam rahi hai barf pighalne ke naam par

badlega koi roz naye-pan ke shauq mein
yaksaan rahega koi badlne ke naam par

ma'ni ka sabza-gaah nazar aa gaya to phir
bhadkega lafz sher mein dhalne ke naam par

रुकना पड़ेगा और भी चलने के नाम पर
गिरती रहेगी ख़ल्क़ सँभलने के नाम पर

फँसता गया हूँ और निकलने की सई में
आफ़त मज़ीद आई है टलने के नाम पर

ये क्या तिलिस्म है कि उभरने के शौक़ में
आवाज़ दब गई है निकलने के नाम पर

दिल का शजर तो और भी पलने की आड़ में
मुरझा गया है फूलने-फलने के नाम पर

वो जा चुका है और बदन के नवाह में
अब जम रही है बर्फ़ पिघलने के नाम पर

बदलेगा कोई रोज़ नए-पन के शौक़ में
यकसाँ रहेगा कोई बदलने के नाम पर

मअ'नी का सब्ज़ा-गाह नज़र आ गया तो फिर
भड़केगा लफ़्ज़ शेर में ढलने के नाम पर

  - Nadeem ahmad

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari