meri nazar ko dar-o-baam par lagaaya hua hai | मिरी नज़र को दर-ओ-बाम पर लगाया हुआ है

  - Nadeem ahmad

meri nazar ko dar-o-baam par lagaaya hua hai
chalo kisi ne mujhe kaam par lagaaya hua hai

vo aur honge jo sehra mein paa-b-jaulaan hain
mujhe to shehar ne ahkaam par lagaaya hua hai

agar vo aaya to is baar subh maanoonga
bahut dinon se mujhe shaam par lagaaya hua hai

kabhi to lagta hai ye uzr-e-lang hai warna
mujhe to kufr ne islaam par lagaaya hua hai

vo aur log hain jo us ke paas baithe hain
hamein to us ne kisi kaam par lagaaya hua hai

मिरी नज़र को दर-ओ-बाम पर लगाया हुआ है
चलो किसी ने मुझे काम पर लगाया हुआ है

वो और होंगे जो सहरा में पा-ब-जौलाँ हैं
मुझे तो शहर ने अहकाम पर लगाया हुआ है

अगर वो आया तो इस बार सुब्ह मानूँगा
बहुत दिनों से मुझे शाम पर लगाया हुआ है

कभी तो लगता है ये उज़्र-ए-लंग है वर्ना
मुझे तो कुफ़्र ने इस्लाम पर लगाया हुआ है

वो और लोग हैं जो उस के पास बैठे हैं
हमें तो उस ने किसी काम पर लगाया हुआ है

  - Nadeem ahmad

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari