ek to kaavish-e-jigar bhi karoon | एक तो काविश-ए-जिगर भी करूँ

  - Nadeem ahmad

ek to kaavish-e-jigar bhi karoon
aur phir minnat-e-samar bhi karoon

ishq mein khair tha junoon laazim
ab koi doosra hunar bhi karoon

sochta hoon tire ta'aqub mein
khud ko ruswa-e-baal-o-par bhi karoon

pehle bin-maange zindagi de di
aur phir shart hai basar bhi karoon

sher likkhoon bhi aur logon mein
shayari apni mushtar bhi karoon

lafz o ma'ni ka jabr jheluun bhi
aur phir khud ko mo'tabar bhi karoon

kaam kuchh be-sabab bhi kar daaloon
aur kuchh kaam soch kar bhi karoon

एक तो काविश-ए-जिगर भी करूँ
और फिर मिन्नत-ए-समर भी करूँ

इश्क़ में ख़ैर था जुनूँ लाज़िम
अब कोई दूसरा हुनर भी करूँ

सोचता हूँ तिरे तआक़ुब में
ख़ुद को रुस्वा-ए-बाल-ओ-पर भी करूँ

पहले बिन-माँगे ज़िंदगी दे दी
और फिर शर्त है बसर भी करूँ

शेर लिक्खूँ भी और लोगों में
शायरी अपनी मुश्तहर भी करूँ

लफ़्ज़ ओ मअ'नी का जब्र झेलूँ भी
और फिर ख़ुद को मो'तबर भी करूँ

काम कुछ बे-सबब भी कर डालूँ
और कुछ काम सोच कर भी करूँ

  - Nadeem ahmad

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari