yaad padta to nahin kab mera dekha hua hai | याद पड़ता तो नहीं कब मिरा देखा हुआ है

  - Nadeem ahmad

yaad padta to nahin kab mera dekha hua hai
aisa lagta hai ki ye sab mera dekha hua hai

aur us but ki parastish mein naya kuchh bhi nahin
aur kyun dekhoon use jab mera dekha hua hai

maut kuchh mere liye laaye to laaye shaayad
zindagi ka to sabhi dhab mera dekha hua hai

is dafa ishq ke jungle se nikal aaunga
raah ka saara fusoon ab mera dekha hua hai

kis tarah husn ko lafzon mein muqaffal kar doon
kis tarah kah doon mera rab mera dekha hua hai

याद पड़ता तो नहीं कब मिरा देखा हुआ है
ऐसा लगता है कि ये सब मिरा देखा हुआ है

और उस बुत की परस्तिश में नया कुछ भी नहीं
और क्यूँ देखूँ उसे जब मिरा देखा हुआ है

मौत कुछ मेरे लिए लाए तो लाए शायद
ज़िंदगी का तो सभी ढब मिरा देखा हुआ है

इस दफ़ा इश्क़ के जंगल से निकल आऊँगा
राह का सारा फ़ुसूँ अब मिरा देखा हुआ है

किस तरह हुस्न को लफ़्ज़ों में मुक़फ़्फ़ल कर दूँ
किस तरह कह दूँ मिरा रब मिरा देखा हुआ है

  - Nadeem ahmad

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari