munh-andhere hi koi ghar se nikalta hua tha
ek manzar tha ki manzar se nikalta hua tha
ek khilqat ki na hone mein fansi jaati thi
aur main hone ke chakkar se nikalta hua tha
kuchh to vo khud hi chala aaya tha baahar baahar
aur kuchh main bhi ab andar se nikalta hua tha
khoob raushan si koi cheez mere saamne thi
aur dhuaan tha ki mere sar se nikalta hua tha
muddaton yun hi tah-e-baal chale aate the
aasmaan tha ki mere par se nikalta hua tha
मुँह-अँधेरे ही कोई घर से निकलता हुआ था
एक मंज़र था कि मंज़र से निकलता हुआ था
एक ख़िल्क़त कि न होने में फँसी जाती थी
और मैं होने के चक्कर से निकलता हुआ था
कुछ तो वो ख़ुद ही चला आया था बाहर बाहर
और कुछ मैं भी अब अंदर से निकलता हुआ था
ख़ूब रौशन सी कोई चीज़ मिरे सामने थी
और धुआँ था कि मिरे सर से निकलता हुआ था
मुद्दतों यूँ ही तह-ए-बाल चले आते थे
आसमाँ था कि मिरे पर से निकलता हुआ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem ahmad
our suggestion based on Nadeem ahmad
As you were reading Aasman Shayari Shayari