khaak itaraaf mein udti hai bahut paani de | ख़ाक अतराफ़ में उड़ती है बहुत पानी दे

  - Nadeem ahmad

khaak itaraaf mein udti hai bahut paani de
is masafat ko bhi ek khitta-e-baraani de

kuchh dinon dasht bhi aabaad hua chahta hai
kuchh dinon ke liye ab shehar ko veeraani de

ya mujhe mamlakat-e-ishq ki shaahi se nawaaz
ya mujhe phir se wahi be-sar-o-saamaani de

meri danaai ne rakha na kahi ka mujh ko
mere maula tu mujhe phir wahi nadaani de

ab kahaani ko bhi uljha zara afsaana-taraaz
shauq kuchh aur badha aankh ko hairaani de

ख़ाक अतराफ़ में उड़ती है बहुत पानी दे
इस मसाफ़त को भी एक ख़ित्ता-ए-बारानी दे

कुछ दिनों दश्त भी आबाद हुआ चाहता है
कुछ दिनों के लिए अब शहर को वीरानी दे

या मुझे मम्लिकत-ए-इश्क़ की शाही से नवाज़
या मुझे फिर से वही बे-सर-ओ-सामानी दे

मेरी दानाई ने रक्खा न कहीं का मुझ को
मेरे मौला तू मुझे फिर वही नादानी दे

अब कहानी को भी उलझा ज़रा अफ़्साना-तराज़
शौक़ कुछ और बढ़ा आँख को हैरानी दे

  - Nadeem ahmad

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari