paane ki tarah ka na to khone ki tarah ka | पाने की तरह का न तो खोने की तरह का

  - Nadeem ahmad

paane ki tarah ka na to khone ki tarah ka
hona bhi yahan par hai na hone ki tarah ka

maaloom nahin neend kise kahte hain lekin
karta to hoon ik kaam main sone ki tarah ka

hansne ki tarah ka koi mausam mere baahar
manzar mere andar koi rone ki tarah ka

aisi koi haalat hai ki muddat se badan ko
ik marhala darpaish hai dhone ki tarah ka

pehle ki tarah aadmi milta to hai lekin
aadhe ki tarah ka kabhi paune ki tarah ka

पाने की तरह का न तो खोने की तरह का
होना भी यहाँ पर है न होने की तरह का

मालूम नहीं नींद किसे कहते हैं लेकिन
करता तो हूँ इक काम मैं सोने की तरह का

हँसने की तरह का कोई मौसम मिरे बाहर
मंज़र मिरे अंदर कोई रोने की तरह का

ऐसी कोई हालत है कि मुद्दत से बदन को
इक मरहला दरपेश है ढोने की तरह का

पहले की तरह आदमी मिलता तो है लेकिन
आधे की तरह का कभी पौने की तरह का

  - Nadeem ahmad

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem ahmad

As you were reading Shayari by Nadeem ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem ahmad

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari