raabta mujh se mera jod diya karta tha
vo jo ik shakhs mujhe chhod diya karta tha
mujhe dariya kabhi sehra ke hawaale kar ke
vo kahaani ko naya mod diya karta tha
is se aage to mohabbat se gila hai mujh ko
tu to bas haath mera chhod diya karta tha
baat pedon ki nahin gham hai parindon ka nadeem
ghonsle jin ke koi tod diya karta tha
राब्ता मुझ से मिरा जोड़ दिया करता था
वो जो इक शख़्स मुझे छोड़ दिया करता था
मुझे दरिया, कभी सहरा के हवाले कर के
वो कहानी को नया मोड़ दिया करता था
इस से आगे तो मोहब्बत से गिला है मुझ को
तू तो बस हात मिरा छोड़ दिया करता था
बात पेड़ों की नहीं, ग़म है परिंदों का 'नदीम'
घोंसले जिन के कोई तोड़ दिया करता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Dard Shayari Shayari