ajeeb jang-o-jidaal har pal hai mere andar | अजीब जंग-ओ-जिदाल हर पल है मेरे अंदर

  - Nadeem Fazli

ajeeb jang-o-jidaal har pal hai mere andar
ki noor-o-zulmat ka ek maqtal hai mere andar

uge hain mujh mein hazaar-ha khaar-zaar paude
phir is pe turra ki rooh malmal hai mere andar

ye kaisi be-m'ani zindagi ho ke rah gai hai
na kuchh adhoora na kuchh mukammal hai mere andar

main jaanta hoon ki khatm hoga na ye taffun
magar lutaaoonga jitna sandal hai mere andar

samundron mein kahaan tamvuj hai aisa mumkin
ki jo talaatum hai jaisi halchal hai mere andar

bade-badoon ko samajh raha hai jo tifl-e-maktab
nadeem aakhir vo kaun paagal hai mere andar

अजीब जंग-ओ-जिदाल हर पल है मेरे अंदर
कि नूर-ओ-ज़ुल्मत का एक मक़्तल है मेरे अंदर

उगे हैं मुझ में हज़ार-हा ख़ार-ज़ार पौदे
फिर इस पे तुर्रा कि रूह मलमल है मेरे अंदर

ये कैसी बे-मअ'नी ज़िंदगी हो के रह गई है
न कुछ अधूरा न कुछ मुकम्मल है मेरे अंदर

मैं जानता हूँ कि ख़त्म होगा न ये तअफ़्फ़ुन
मगर लुटाऊँगा जितना संदल है मेरे अंदर

समुंदरों में कहाँ तमव्वुज है ऐसा मुमकिन
कि जो तलातुम है जैसी हलचल है मेरे अंदर

बड़े-बड़ों को समझ रहा है जो तिफ़्ल-ए-मकतब
'नदीम' आख़िर वो कौन पागल है मेरे अंदर

  - Nadeem Fazli

Pagal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Fazli

As you were reading Shayari by Nadeem Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Fazli

Similar Moods

As you were reading Pagal Shayari Shayari