aap ko mujh se khafa mujh se khafa dekhta hoon | आप को मुझ से ख़फ़ा मुझ से ख़फ़ा देखता हूँ

  - Nadeem Fazli

aap ko mujh se khafa mujh se khafa dekhta hoon
foottee kyun nahin aankhen meri kya dekhta hoon

roz is rooh ki veeraaniyaan khil uthati hain
roz is dasht mein ik aabla-pa dekhta hoon

gul khilaate hain naya roz ye rishte-naate
roz hi khoon ka ik rang naya dekhta hoon

ek sach ye hai jo duniya ko bartane pe khula
ek sach vo jo kitaabon mein likha dekhta hoon

aap hain sab se jo az-raah-e-zaroorat hi mile
aur main aap mein bhi khoo-e-wafa dekhta hoon

aankh bhar kar main jise dekh na paaya tha nadeem
khud ko us khwaab ke malbe mein daba dekhta hoon

आप को मुझ से ख़फ़ा मुझ से ख़फ़ा देखता हूँ
फूटती क्यूँ नहीं आँखें मिरी क्या देखता हूँ

रोज़ इस रूह की वीरानियाँ खिल उठती हैं
रोज़ इस दश्त में इक आबला-पा देखता हूँ

गुल खिलाते हैं नया रोज़ ये रिश्ते-नाते
रोज़ ही ख़ून का इक रंग नया देखता हूँ

एक सच ये है जो दुनिया को बरतने पे खुला
एक सच वो जो किताबों में लिखा देखता हूँ

आप हैं सब से जो अज़-राह-ए-ज़रूरत ही मिले
और मैं आप में भी ख़ू-ए-वफ़ा देखता हूँ

आँख भर कर मैं जिसे देख न पाया था 'नदीम'
ख़ुद को उस ख़्वाब के मलबे में दबा देखता हूँ

  - Nadeem Fazli

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Fazli

As you were reading Shayari by Nadeem Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Fazli

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari