ab apni zaat ka irfaan hone waala hai | अब अपनी ज़ात का इरफ़ान होने वाला है

  - Nadeem Fazli

ab apni zaat ka irfaan hone waala hai
khuda se raabta aasaan hone waala hai

ganwa chuka hoon main chaalees saal jis ke liye
vo ek pal meri pehchaan hone waala hai

isee liye to jalata hoon aandhiyon mein charaagh
yaqeen hai ki nigahbaan hone waala hai

ab apne zakham nazar aa rahe hain phool mujhe
shuoor-e-dard pashemaan hone waala hai

mere liye tiri jaanib se pyaar ka izhaar
mere ghuroor ka samaan hone waala hai

ye chot hai meri mushkil-pasand fitrat par
jo marhala tha ab aasaan hone waala hai

agar ghuroor hai suraj ko apni hiddat par
to phir ye qatra bhi toofaan hone waala hai

bahut urooj pe khush-fahmiyaan hain ab us ki
vo an-qareeb pashemaan hone waala hai

tu apna haath mere haath mein agar de de
to ye faqeer bhi sultaan hone waala hai

charaagh-e-daar ki lau maand pad rahi hai nadeem
phir apne naam ka elaan hone waala hai

अब अपनी ज़ात का इरफ़ान होने वाला है
ख़ुदा से राब्ता आसान होने वाला है

गँवा चुका हूँ मैं चालीस साल जिस के लिए
वो एक पल मिरी पहचान होने वाला है

इसी लिए तो जलाता हूँ आँधियों में चराग़
यक़ीन है कि निगहबान होने वाला है

अब अपने ज़ख़्म नज़र आ रहे हैं फूल मुझे
शुऊर-ए-दर्द पशेमान होने वाला है

मिरे लिए तिरी जानिब से प्यार का इज़हार
मिरे ग़ुरूर का सामान होने वाला है

ये चोट है मिरी मुश्किल-पसंद फ़ितरत पर
जो मरहला था अब आसान होने वाला है

अगर ग़ुरूर है सूरज को अपनी हिद्दत पर
तो फिर ये क़तरा भी तूफ़ान होने वाला है

बहुत उरूज पे ख़ुश-फ़हमियाँ हैं अब उस की
वो अन-क़रीब पशेमान होने वाला है

तू अपना हाथ मिरे हाथ में अगर दे दे
तो ये फ़क़ीर भी सुल्तान होने वाला है

चराग़-ए-दार की लौ माँद पड़ रही है 'नदीम'
फिर अपने नाम का एलान होने वाला है

  - Nadeem Fazli

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Fazli

As you were reading Shayari by Nadeem Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Fazli

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari