ki tu ne lab-kushaai to kis ke huzoor ki | की तू ने लब-कुशाई तो किस के हुज़ूर की

  - Nadeem Fazli

ki tu ne lab-kushaai to kis ke huzoor ki
ab kirchiyaan samet dil-e-na-suboor ki

kis ke lahhoo mein shaam naha kar hai surkh-roo
kis ne chukaai khoon se qeemat ghuroor ki

sadiyon se kis ki qabr pe giryaa-kunaan hai raat
leta hai kaun odh ke chadar ye noor ki

ilm-o-kamaal aap ki meeraas kya kaha
parten na kholie mere tahtush-shuur ki

taqdeer jitna chahe mujhe dar-b-dar kare
mitti se khoo na jaayegi burhaan-poor ki

phir ba-adab hain lafz-o-maani mere huzoor
phir fauj utar rahi hai khayaal-e-tuvoor ki

tafheem aan-janaab ye ghalib ka sher hai
kuchh an-kahi bataiye bainssootoor ki

ham khud se ham-kalaam hoye kam nahin nadeem
jaaven kaleem sair karein koh-e-toor ki

की तू ने लब-कुशाई तो किस के हुज़ूर की
अब किर्चियाँ समेट दिल-ए-ना-सुबूर की

किस के लह्हू में शाम नहा कर है सुर्ख़-रू
किस ने चुकाई ख़ून से क़ीमत ग़ुरूर की

सदियों से किस की क़ब्र पे गिर्या-कुनाँ है रात
लेटा है कौन ओढ़ के चादर ये नूर की

इल्म-ओ-कमाल आप की मीरास क्या कहा
परतें न खोलिए मेरे तहतुश-शुऊर की

तक़दीर जितना चाहे मुझे दर-ब-दर करे
मिट्टी से ख़ू न जाएगी बुर्हान-पूर की

फिर बा-अदब हैं लफ़्ज़-ओ-मआनी मिरे हुज़ूर
फिर फ़ौज उतर रही है ख़याल-ए-तुयूर की

तफ़्हीम आँ-जनाब ये 'ग़ालिब' का शेर है
कुछ अन-कही बताइए बैनस्सुतूर की

हम ख़ुद से हम-कलाम होए कम नहीं 'नदीम'
जावें कलीम सैर करें कोह-ए-तूर की

  - Nadeem Fazli

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Fazli

As you were reading Shayari by Nadeem Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Fazli

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari