dil saraabo se guzar kar shaad rakh
dasht mein dariya ka manzar yaad rakh
sar asīr-e-sar-bulandi hi rahe
kaj-kulaahi se magar azaad rakh
is jahaan mein hai zavaali har urooj
yaad itna ai sitam-iijaad rakh
qatra-e-naacheez samjha tu jise
band hai us mein samundar yaad rakh
baat apni bhool ja tu bhool ja
yaad lekin hurmat-e-ajdaad rakh
paas tesha ho na ho ai kohkan
dil mein lekin jazbā-e-farhaad rakh
tez aandhi ke parind udne se qibl
shahparon mein sakhti-e-faulaad rakh
dil hamesha sang-dil ke saamne
be-niyaaz-e-sheva-e-faryaad rakh
lo chale to muzmahil naadim na ho
dil saba ki yaad se aabaad rakh
दिल सराबों से गुज़र कर शाद रख
दश्त में दरिया का मंज़र याद रख
सर असीर-ए-सर-बुलंदी ही रहे
कज-कुलाही से मगर आज़ाद रख
इस जहाँ में है ज़वाली हर उरूज
याद इतना ऐ सितम-ईजाद रख
क़तरा-ए-नाचीज़ समझा तू जिसे
बंद है उस में समुंदर याद रख
बात अपनी भूल जा तू भूल जा
याद लेकिन हुरमत-ए-अज्दाद रख
पास तेशा हो न हो ऐ कोहकन
दिल में लेकिन जज़्बा-ए-फ़रहाद रख
तेज़ आँधी के परिंद उड़ने से क़ब्ल
शहपरों में सख़्ती-ए-फ़ौलाद रख
दिल हमेशा संग-दिल के सामने
बे-नियाज़-ए-शेवा-ए-फ़र्याद रख
लो चले तो मुज़्महिल 'नादिम' न हो
दिल सबा की याद से आबाद रख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadim Balkhi
our suggestion based on Nadim Balkhi
As you were reading Samundar Shayari Shayari