kudoorat badh ke aakhir ko nikalti hai fugaan ho kar | कुदूरत बढ़ के आख़िर को निकलती है फ़ुग़ाँ हो कर

  - Nadir Kakorvi

kudoorat badh ke aakhir ko nikalti hai fugaan ho kar
zameen ye sar par aa jaati hai ik din aasmaan ho kar

mere naqsh-e-qadam ne raah mein kaante bichhaaye hain
bataayein to vo ghar ghairoon ke jaayenge kahaan ho kar

khuda se sar-kashi ki peer-e-zaahid is qadar tu ne
ki tera teer sa qad ho gaya hai ab kamaan ho kar

koi pooche ki mayyat ka bhi tum kuchh saath dete ho
ye aaye rakh le kar vo aaye nauha-khwaan ho kar

iraada peer-e-zaahid se hai ab turki-b-turki ka
kisi bhatti pe ja baithoonga main peer-e-mugaan ho kar

talaash-e-yaar kya aur sair kya ai hum-nasheen ham to
chale aur ghar chale aaye yahan ho kar wahan ho kar

sukhun ki bazm mein naadir usi ke sar pe sehraa hai
raha jo ham-navaa-e-bulbul-e-hindostaan ho kar

कुदूरत बढ़ के आख़िर को निकलती है फ़ुग़ाँ हो कर
ज़मीं ये सर पर आ जाती है इक दिन आसमाँ हो कर

मिरे नक़्श-ए-क़दम ने राह में काँटे बिछाए हैं
बताएँ तो वो घर ग़ैरों के जाएँगे कहाँ हो कर

ख़ुदा से सर-कशी की पीर-ए-ज़ाहिद इस क़दर तू ने
कि तेरा तीर सा क़द हो गया है अब कमाँ हो कर

कोई पूछे कि मय्यत का भी तुम कुछ साथ देते हो
ये आए मर्सिया ले कर वो आए नौहा-ख़्वाँ हो कर

इरादा पीर-ए-ज़ाहिद से है अब तुर्की-ब-तुर्की का
किसी भट्टी पे जा बैठूँगा मैं पीर-ए-मुग़ाँ हो कर

तलाश-ए-यार क्या और सैर क्या ऐ हम-नशीं हम तो
चले और घर चले आए यहाँ हो कर वहाँ हो कर

'सुख़न' की बज़्म में 'नादिर' उसी के सर पे सेहरा है
रहा जो हम-नवा-ए-बुलबुल-ए-हिन्दोस्ताँ हो कर

  - Nadir Kakorvi

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Kakorvi

As you were reading Shayari by Nadir Kakorvi

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Kakorvi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari